Bahut dino se plan kar rahe the ki Bangalore ke aas paas kahi jaya jaye. Finally 1 Sunday ko ham log nikal liye Nandi Hills ke liye, saath mein tha apna friend Pracheer and his family. Nandi Hills ke liye hamne Outer Ring Road pakdi towards North aur uske baad liya NH 7 to Hyderabad. Road shaandar thi till Devanhalli Airport, 60 KMS ka pata hi nahi chala, uskebaad 1 village road li for next 12 KMS, wo road typical village road thi, and then another 8-10 KMS pahadi chadhai.
Nandi Hills ke pehle padao per pahuche, aur waha per 1 ticket liya aur fir thoda aur upper chade. Weather thoda cloudy tha, lekin bahut achha tha. Car parking mein thodi fight hui lekin 1 jagah mil hi gayi parking. Sochatha ki thodi bahut hiking hogi, lekin aisa kuch nahi tha, thoda chale, 1 Nehru guest tha, waha koi serial ki shooting chal rahi thi. Thoda aage chale to 1 bahut shaandar Vista point aaya, neeche ka najara kaafi shaandar tha. Kuch bandar ladai kar rahe the aur decide karna mushkil tha ki kaun sa bandar apne ko sikandar samajh raha hein.
Thoda aage chale to 1 mandir aaya aur mandir se thoda aage 1 aur Vista point, waha se 1-2 hills dikh rahe the aur najara bahut hi shaandar ban pada tha. Kisi ne bataya ki Nandi hills Tipu Sultan ka summer time spend karne ki bhi jagah hoti thi. 1 restaurant per foster beer ka board laga tha, man machla ki chalo thodi beer pee jaye, lekin biwi ne aankh dikha di ki abhi wapas car chalani hein.
Thoda patelgiri kari aur kuch pictures li, fir socha ki aab kya kare, to bachho ko tabhi park dikhai de gaya, hamne kaha chalo aab set ho gaya. Park mein bachho ki mummiyo ko 1 jhoola dikha aur unka bhi man hua gol gol ghumiyo ghumiyo karne ka. Finally jab bachhe uchal kood karke thak gaye to hamne kaha ki chalo aab lunch karke nikla jaye.
Car ke paas wapas pahuche, lunch nikala, 1 achhi ji si jagah dhoondi aur khane beth gaye, 5 minute baad aas paas dekha ki kuch bin bulaye mehmaan bandar ke roop mein aas paas beth gaye hein, ham waha se bhage aur car mein beth kar khana khane lage. Bandar to sikander hein, wo hamari Car ki hood per hi aakar beth gaye. Kisi tarah se lunch khatm kiya, aur baarish bhi shuru ho gayi thi, bole to time to go back.
Wapas aate hue pahadi se neeche utar kar socha ki kis raaste se aaye the, left jaoo ki right jaoo, finally right liya, lekin NH-7 per pahuch kar pata chala ki left wala road jyada achha tha. Aur fir Pracheer ghar pahuch kar chai pee aur khana khaya aur nikal liye apne ghar ki taraf Outer Ring Road south pakad kar.
Oye Tani, ye Bangalore mein apne north type road side Dhaba nahi milta yaar, kuch karna padega.
bahut badhiya. welcome back. Nandi hills ka naam Nandi kyon hain, is baat ka khulasa nahin kiya tumne.
jai hind. aaj 15 august hai
Sahi likha hai bandhu ne…
I like following part in particular
“1 restaurant per foster beer ka board laga tha, man machla ki chalo thodi beer pee jaye, lekin biwi ne aankh dikha di ki abhi wapas car chalani hein.”
Upanshu, I may sound biased if I endorse your choice of Nandi Hills for a quick picnic near Bengaluru! Yet, I agree with you.. It is a good, short drive and a nice place to hang out for a day. I particularly like to go there either for the sunrise or the sunset.. Good choice :)
Thank you very much Archana, yes, this place is nice and have been there 5-6 times in last few years. Have seen lots of improvements with respect to safety side and the approach road to Nandi Hills.
Dear Upanshu,
Nice description of the place. It enticed the travel pleasures in me once again. Any type of car can reach up to Nandi Hill?
Thanks,
O P Verma
Patna.